Thursday, October 7, 2010

Sai

maine apni taraf se iss vrat me koi kami nahi chodi par phir bhi aisa kyu ho raha hain..?? mjhe batao ye kyaa baat hain... abhi tak mai sirf sachin ke liye kuch maang rahi thi par ab mai aapse ye bhi kehti hun ki iss ghar iss ashanti ko hata do
aap kehte ho ki shradha saburi rakhni chahiye koi kaise rakhega shradha saburi mjhe batao jab ghar me iss tarike kaa mahual bann jaye to kaise hoga ye batao aap hi batao ye kyaa baat hui
har baar ussko kuch naa keh paane ki ye kaisi majburi hain sai ram ye kyaa baat hain chahte hue bhi kuch nahi kr paa rahi mai ye kyaa baat hain aur mere saath koi nahi hain mera saath dene vaala aur koi nahi sivaaye aapke even sachin bhi aise krte hain kitni aasani se har baar ki tarah phone off krke so gaye ek baar nahi socha ki vo pareshan hogi jab aisa hotaa hain to lagtaa hi nahi ki vo mjhse pyaar bhi krte hain kyaa...mjhe nahi pata unhone mjhe hurt kiyaa hain mai bass yahi jaanti hun
aur iss baar meri yahi koshish hogi ki mai ab apna phone on naa karu...dekhte hain kyaa hotaa hain......
om sai ram:(

No comments:

Post a Comment